Home Maharashtra & Goa Muslim Leaders Meet On ‘Unity’, On The Eve Of Shab-E-Barat

Muslim Leaders Meet On ‘Unity’, On The Eve Of Shab-E-Barat

0

Ebrahim Tai from Muslim Council Trust said “Humey apne apne maslak pey kaaem rehtey huey qaum ko husn e akhlaak ke saath jordna hoga aur ittehaad ki zarurat pe roshni daali.

Farid Shaikh from Aman Committee suggest “phase wise meeting Leni hogi aur achhi planning ke saath kaam karna hoga for example Triple talaaq protest.
 




 
Sarfaraz Arzu,Editor Hindustan Urdu daily said ” Shuruaat mei humey do pehlu pe kaam shuru karna hoga,
Shia-Sunni aur Sunni-Deobandi ittehaad, aur group ke saath humey ulma e ikraam se milna chahiyeh aur ittehaad ko mazbut karne ko kaha.

Ali Jawed Zaidi said “ek core committee bana kar, har fikr ki masjido se humey raabta kaaem karna padhega aur jo haalaat saamne hain ounhey batatey huey ittehaad ka positive msg har masjid se jaana chahiyeh, qaum ke log saath dene ko taiyyar hain, bas humey ek hone ki zarurat hai.

Abdul Hafeez Farooqui from Ahle Hadees Jamaat said “Jumeh ke qutbey mei ittehaad ka positive msg.jaana chahiyeh issmey Ulmao ka eksaath aana zaruri hai.

Saeed Qureshi from Muslim Seva Sangh ne “husn e akhlaak pe zor diya.
 

 
Salahuddin Mujahid from Khair ul Anaam said “area wise committee bana kar youth ko jordnaa hoga aur youth ko zimmedaari dengey toh kaam aasaan aur jadi hoga.

Ahmed Ali Abedi from Najafi house said “Shuruaat chhote se karo lekin fikr badhi rakho,Masjido mei fikr Madraso se aati hai, issliyeh humey Madraso ke zimmedaar logo se raabta kaaem karna hoga.

Khalil Zahid Sr.Journalist said “haalat ko dekhte huey ek platform par aana bahot zaruri hai,taarikh dekh lo ek na hone ki wajah se qaum ko kitnaa nuksaan hua hai,Committee form karna chahiyeh aur 4 members area wise masjid ke trustee aur Aimma se miley aur report de phir woh dekh kar aage kaam karey.

Amjad Khan said har masjid ka address aur ounke trustees ki list tayyar karne ka suggestion diya.

Zoeb Bootwala ne media ke zariyeh msg. Pahuchaney pe zor diya.
 




  

 
Sirajjudin Khan ne next meeting mei Masjid ke trustee aur Aimma e ikraam ko bhi daawat dene ko kaha…

Last mei Meeting ke President Maulana Sayed Athar Ali said Sab ne acchhe suggestions diyeh, humey issue based ittehaad pe kaam karna hoga, for example Shah bano aur Denmark protest, Aimma e Ikraam ko confidence mei letey huey kaam shuru kar dena chahiyey.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.